Monday 8 February 2016

Nida Fazli passes away at 78


 Nida Fazli passed away on Monday after he complained of breathlessness at his residence in suburban Mumbai. He was 78.


Yaad aati hai chauka, baasan, Chimta, phoonkni jaisi maa
Baans ki khurri khat ke oopar, Har aahat par kaan dhare
Aadhi soi aadhi jaagi, Thaki dopahari jaisi maa
Chidiyon ke chahkar mein gunje, Raadha- mohan ali – ali
Murge ki aawaz se khulti, Ghar ki kundi jaisi maa
Biwi, beti, behan, padosan Thodi thodi si sab mein
Din bhar ik rassi ke oopar, Chalti natni jaisi maa
Baant ke apna chehra, maatha, Aankhen jaane kahan gai
Phate puraane ik album mein Chanchal ladaki jaisi maa

'Dil mein na ho jurrat to mohabbat nahi milti'
Dil mein na ho jurrat to mohabbat nahi milti
Khairat mein itni badi daulat nahi milati
Kuchh log yun hi shehar mein hum se bhi khafaa hain
Har ek se apni bhi tabiyat nahi milti
Dekha tha jise maine koi aur tha shaayad
Wo kaun hai jis se teri surat nahi milti
Hanste huye chehron se hai baazaar ki zinat
Rone ko yahan waise bhi fursat nahi milti

'Har taraf har jagah beshumaar aadmi'
Har taraf har jagah beshumaar aadmi
Phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadami
Har taraf bhaagte daudte raaste
Har taraf aadami ka shikaar aadami
Roz jita hua roz marta hua
Har naye din naya intazaar aadami
Zindagi ka muqaddar safar dar safar
Aakhiri saans tak beqaraar aadmi

'Baat kam kije jahanat ko chhipate rahiye'
Baat kam kije jahanat ko chhipate rahiye
Ajnabi shehar hai ye, dost banate rahiye
Dushmani lakh sahi, khatam na kije rishta
Dil mile na mile, haath milate rahiye
Ye to chehare ki shabahat hui tasvir nahi
Is pe kuch rang abhi aur chadhate rahiye
Gam hain awara akele me bhatak jata hain
Jis jagah bhi rahiye, milte milate rahiye
Jane kab chand bikhar jaye ghane jungle me
Ghar ki chaukhat pe koi deep jalate rahiye

'Munh ki baat sune har koi'
Munh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Aawazo’n ke baazaro’n me
Khaamoshi pahachane kaun
Sadiyo’n-Sadiyo’n wahi tamaasha
Rasta-Rasta lambi khoj
Lekin jab hum mil jaate hai
Kho jaata hai jaane kaun
Jane Kya-Kya bol raha tha
Sarhad,pyar kitabe,khoon
Kal meri neendo’n me chhupkar
jaag raha tha jaane kaun
Main uski parchhai hoo’n ya
Wo mera aaina hai
Mere hi ghar me rahta hai
Mere jaisa jaane kaun
Kiran-Kiran alsaata sooraj
Palak-Palak Khulti neende’n
Dheeme-Dheeme bikhar raha hai
Jarra-Jarra jaane kaun

No comments:

Post a Comment